Friday, July 9, 2010

Hamari Manzil Alag Hain

Hamari Manzil alag hain ,
Hamare raaste alag hain ,
Mudkar kya dekhna hain ,
Abhi Safar bahut baaki hain !

Written by: Maya Manzil

Wednesday, July 7, 2010

Kya Socha Tha Aur Kya


Kya socha tha aur kya maine paaya,
Apano ne bhi na mujhe kabhi apnaya,
Meri manzil me sirf sapno ka tha saya,
Zindagi ki raah me khud ko akela paya!


writen by : Maya Manzil

Friday, July 2, 2010

Kismat Ke Kagaz Pe Ham


Kismat Ke Kajaz pe ham apni Zindagi
Likh
Rahe Hain,
Bikhare panno ko ab ham unhe samet
Rahe Hain,
Jaise neend se jagkar ham Manzil talash
Rahe Hain,
Ummid hain ki un panno me meri kismat

Rang Rahi Hain,
Aaj waqt hain palko pe sapno ko ham saja,
Rahe Hain,
Aaj fir ye Zindagi Koi Naya Geet Gunguna
Rahi Hain !

Written by: Maya Manzil

Wednesday, June 30, 2010

Ye Waqt Hi Hain Jo


Ye waqt hi hain jo hamne
milaya karte hain.

Acche aur bure ki pahchan
karaya karte hain,

Bas Yaaden to sirf yaaden hi
kahlaya karti hain,

Do shabd likhkar ham apna man
bahlaya karte hain !

Written by: Maya Manzil

Sunday, June 27, 2010

A Dost Tujhse Mera Kuch


A dost tujhse mera kuch na chhupa,
Fir bhi tune kabhi na mujhe samjha,

Mujhe na tujhse koi gila na koi siqwa,
Manzil ka to bas ek yahi hain kaarwa !

Written by: Maya Manzil

Saturday, June 26, 2010

Zindagi Ka Ye Kaisa


Zindagi ka ye kaisa hain safar,
Har moar pe milate hain hamsafar,

Par saath ne deta koi zindagi bhar,

Apna daman sambhale hain is kadar ,
Koi na koi to hamse bhi hain bekhabar!

Written by: Maya Manzil


A Kaaynat Meri Is Kalam Ko


A kaaynat meri is kalam ko
badnam na kar,
Mujhe kuch bhi kah par tu

khuda se to dar,
Meri kalam ki kisiko na sahi
mujhe hain kadar,
Lagta hain is waqt a kalma se
tu hain bekhabar !

Written by: Maya Manzil