Wednesday, June 30, 2010

Ye Waqt Hi Hain Jo


Ye waqt hi hain jo hamne
milaya karte hain.

Acche aur bure ki pahchan
karaya karte hain,

Bas Yaaden to sirf yaaden hi
kahlaya karti hain,

Do shabd likhkar ham apna man
bahlaya karte hain !

Written by: Maya Manzil

Sunday, June 27, 2010

A Dost Tujhse Mera Kuch


A dost tujhse mera kuch na chhupa,
Fir bhi tune kabhi na mujhe samjha,

Mujhe na tujhse koi gila na koi siqwa,
Manzil ka to bas ek yahi hain kaarwa !

Written by: Maya Manzil

Saturday, June 26, 2010

Zindagi Ka Ye Kaisa


Zindagi ka ye kaisa hain safar,
Har moar pe milate hain hamsafar,

Par saath ne deta koi zindagi bhar,

Apna daman sambhale hain is kadar ,
Koi na koi to hamse bhi hain bekhabar!

Written by: Maya Manzil


A Kaaynat Meri Is Kalam Ko


A kaaynat meri is kalam ko
badnam na kar,
Mujhe kuch bhi kah par tu

khuda se to dar,
Meri kalam ki kisiko na sahi
mujhe hain kadar,
Lagta hain is waqt a kalma se
tu hain bekhabar !

Written by: Maya Manzil


Friday, June 25, 2010

Main Kuch Is kadar



Main kuch is kadar us dagar pe hoon,

Na door tak ab kisi ki nazar me hoon !


Beech raah me main akela khada hoon,
Ab kashti a zindagi Ki khooz me hoon !

Apni Manzil ka wo aisa musafir hoon,

Raah me gir kar bhi sabhal jata hoon !


Haal a zindagi sirf tujhi ko batata hoon,
Aaj bhi tera intazar main karta hoon !


Written by: Maya Manzil

Thursday, June 24, 2010

Waqt Ko Aaj Hamari


Waqt ko aaj hamari kadar nahi,
Hame bhi waqt ki khabar nahi,
Jaise jee rahe hain ab wohi sahi,
Par ham to ham hain koi aur nahi !

Written by: Maya Manzil

Wednesday, June 23, 2010

Khawabo Ke Peechhe Na


Khawabo ke peechhe na
dodenge ham,

Tere saath kadam milaker
chalenge ham,
Tu saath na de, tere saath
rahenge ham,
Dard ko bhi khushi me badal,
denge ham,
Teri ek hansi ke liye ye jahan

chhod denge ham !

Written by: Maya Manzil

Mere Dil Ka Tha

Mere Dil Ka tha Arman,
Dena tha sabko Paigam,
Koi apna hain mehman,
Wo hamse na hain anjan,
Bas jaan ke na ban anjan !

Written by: Maya Manzil

Tuesday, June 22, 2010

Aaj Kuch Kahne Ko


Aaj kuch kahne ko man hain,
Dil me kuch arma aise hain !

Paklo pe kuch sapne saje hain,
Khule aasama me uadna hain !

Meri Zindagi ki raah suni hain,
Manzil tak mujhe pahuchna hain !

Adhure sapne ka nazara zari hain,
Kuch Karam mere abhi baki hain!

Mujhe is dagar pe abhi chalna hain,
Sab sapno ko mujhe pura karna hain !


Written by: Maya Manzil

Monday, June 14, 2010

Lamha Lamha Karke


Lamha Lamha Karke ham har wo
lamha jeete rahe,
Khushiyo ki barisk ham tere sang
bhigate rahe,
Waqt ne wo ghadi yaad diladi aur
loat aaye,
Ab kya kahe Ham wo bheeni khushboo
sang le aaye !

Monday, June 7, 2010

Insaan Itana Mazboor


Insaan itana Mazboor hota nahi
Waqt halat ko kabhi samjhta nahi,
Na jaane kalam likhne se rukati nahi,
Zindagi ualjhi paheli jo sulajhti nahi !

Written by: Maya Manzil